Income Certificate Online Jharkhand: Dosto aap janna chahte hai ki Income Certificate kaise banaye jharkhand se to aap thik jagah me hai. Aaj ke time me sabhi parkar ka student ko iski jarurat padti hai. Agar apko nahi pata ki aaye pramanpatra kaise banate hai to chaliye hum apko niche baata rahe ye step follow kar ke apna certificate bana sakte hai.
Dekhiye Income Certificate aap do trah se bana sakte hai. Ek hai agar apko form online apply karna aata hai to aap apne apna certificate apply kar sakte hai. Iske liye apko Jhar Sewa me apna account bana padega tab aap free me apna certificate bana sakte hai. Dusra tarika hai aap Pragya Kendra online karwa sakte hai yaha apna application form jama kar de apko apka Certificate ban jayega. Aap agar jharkhand se hai to apke liye khushi ki baat ye hai ki hamare yaha certificate jaldi ban jate hai.
Income Certificate Online Jharkhand
- Jhar Sewa portal open kare http://jharsewa.jharkhand.gov.in
- Click on Register Yourself button.
- Portal me registration karke apna account bana le.
- Ab login kare
- Service option me click karke income certificate select kare
- Apna aplication form ke sath apply kare
- Personal information bhare or Important Ducoment attach kare.
- Application submit kar ye Proceess bilkul free hai.
Documents Requirements
- Application Form
- Khatiyan & Land Rasid
- Aadhaar card
- Affidavide
- Fathers Aadhar card
- Ghohsna Patra
- Apply in Pragya Kendra (CSC)
Dosto ye baat sabse jaruri aap apna certificate agar Pragya Kendra se online karwana chahte hai to aachha baat hai. Pragya Kendra me apna application form sath hi sath online karwa le or raside lena mat bhuliye nahi to aap dikat me pad sakte hai. Kabhi kabhi issa bhi hota hai apne application for to Prgaya Kendra me de aaye or wo apka form online hi nahi kiya or ise hi rah gaya to apko dikat ho sakte hai.
- Apna panchayat me hi online karwaye
- Sath hi sathe online kara le
- Rasid lena nahi bhuliye ga
- 7 day ke andar apna status check karwa le.
Dosto apko ye post kaise laga hume jarur bataye. apko kuchh dikat ho to hume free comments me puchh sakte hai.Thanks