How to Open a Pragya Kendra in Jharkhand

Hum apko aaj batene wale hai New Pragya Kendra kaise khole. aap samaj me achha kam karna chahte hai sath me paisha bhi kamana chahte hai to aap thik jagah m hai.

Aap Digital Seva kendra khol ke bahut paisa kama sakte hai ghar baithe agar aap thik se Prgaya Kendra me kam karte hai to apko ane wale time bahut hi fayda hone wala hai to chale jane ise open kase kiya jata hai.

aaj ke time me apne sahar me rah ke ek kam start karna chahte hai to pragyakendra bahot hi achha soch hai. ane wale time me isme bahot se services milega jo kamai ka ek bahut bada rasta hai. ise aap apna gram ya sahar me khol sakte hai.

pragya kendra

Sabse pahle apko iske liye abedan dena padta hai jo niche hum bata rahe hai. application bharne ke bad apko iski ID mil jata hai tab aap isme kam kar sakte hai. aap chahe to apne gram me kisi ke purana ID kharid bhi sakte hai. magar wo abhi transfer nahi ho raha hai.

aap ko hum sabse ashan tarika bata rahe hai kendra start karne ka to ye post pura padhe. niche aap sidhe registration kar ke apna center prapt kar sakte hai.
Application Procedure and eligibility

Dosto apke pass Aadhar card, Pan card, passbok and cancel cheqe honachahiye tabhi aap abedan kar sakte hai. aap apna gram ya sahar ke hi log apply kar sakte hai pahle kya hota log dusre panchayat me dusre jagah ke log le lethe the abb apko nahi mil sakta hai. aap ushi panchayat ke hone chahiye jahan abedan kar rahen hai.

Pragya Kendra Apply Online

  • Sabse pahe aap iss link ko open kare i.e. https://www.jharkhand.gov.in/csc
  • Click on “APPLY FOR CSC” on the top of the page.
  • Ab apko Apply Online link pe click karna hai.
  • Ab apko form ko form fill up karna hai.
  • Forn fill up karne ke bad Register button me click kare.
  • apko form submit ho gaya or apka Application ID prapt ho jayega Note: Application ID No. ko note kar le.
  • Yaha apko apna Education and Professional details fill up karna hai.
  • Next Option par click kare
  • infrastructure details (Dukan ka details) fill up karna hai.
  • Next Option par click kare
  • Other details fill up kar de. (AC no.)
  • Next Option par click kare
  • Ab personal information ko janch le Finish Kar de.
  • Yahaapko apna “All Documents” Upload karna hai.
  • Upload me click kar de apka Pragya Kendra Registration ho gaya.
  • Ab apko apna application no. or password note kar lena hai. status check karte rahana hai. apka center janch me bhi aasakta hai.

Note: Pragya Kendra Registration abhi band hai agar aap lena chahte hai to pura niche puri jankari diya huwa hai kaise aap bina register kiye start kar sakte hai.

Sabse bada sabal Registrtaion to band hai. Agar aap Pragya Kendra VLE banna chate hai to ap ban sakte hai. Bas sabse pahle apko New CSC Registration karna hai. iske bad apko apne CSC District Manager se milna hai une jankri lena hai.

Sir mujhe bhi VLE banna hai kaise ban sakta hun bataye tab apko DM sir jarur kam de sakte hai. han agar pahle se apke panchayat me koi hai to dikat ho sakta hai.

Pragya Kendra Services List

  • JharSewa
  • Financial Inclusion
  • Caste certificate
  • Income certificate
  • Residential certificate
  • OBC Certificate
  • Cash Payments
  • Bijli Bill
  • Digital Seva services
  • Railway ticketing
  • Bus Ticketing
  • Flight Ticketing
  • Electoral Services
  • Passport Services
  • Navodaya Form apply
  • PAN Card
  • E-Aadhaar
  • NIELIT Services
  • NIOS services
  • NPS – Swawalamban services
  • Premium payments
  • Farmer training
  • Skill development
  • Insurance sales
  • Mobile recharge
  • DTH Recharge
  • Telephone bill payment

Or bhi bahut sare service hai jo ki aap ko waha jane par aap labh utha sakte hai.
To dosto Pragya Kendra Online Apply kaise karte hai hum jan gaya. or bhi CSC se judi bahut se jankari ke liye hamare website me ate rahe. Dhanya bad…

1 thought on “How to Open a Pragya Kendra in Jharkhand”

Leave a Comment